Rehnuma logoRehnuma

Chemistry Practice Paper (Class 9) jawab ke sath

Rehnuma ka apna model paper · Javeria Maqsood · Ye official board past paper nahi hai

Pehle khud sawal hal karein, phir "Jawab dekhein" dabayein. Agar koi jawab samajh na aaye to Rehnuma se poochein.

Hissa 1: MCQs (10)

Q1. Atomic number kis ke barabar hota hai?

  1. Neutrons ki tadad
  2. Protons ki tadad
  3. Electrons aur neutrons
  4. Mass number
Jawab dekhein

B) Protons ki tadad

Q2. Electron par kaun sa charge hota hai?

  1. Positive
  2. Negative
  3. Neutral
  4. Kabhi positive kabhi negative
Jawab dekhein

B) Negative

Q3. Mass number kis ka majmua hai?

  1. Protons aur electrons
  2. Protons aur neutrons
  3. Electrons aur neutrons
  4. Sirf protons
Jawab dekhein

B) Protons aur neutrons

Q4. Noble gases periodic table ke kis group mein hain?

  1. Group 1
  2. Group 17
  3. Group 18
  4. Group 2
Jawab dekhein

C) Group 18

Q5. NaCl mein kis qism ka bond hota hai?

  1. Covalent
  2. Ionic
  3. Metallic
  4. Hydrogen bond
Jawab dekhein

B) Ionic

Q6. CO₂ ka molar mass kitna hai? (C = 12, O = 16)

  1. 28 g/mol
  2. 32 g/mol
  3. 44 g/mol
  4. 56 g/mol
Jawab dekhein

C) 44 g/mol

Q7. Ek mole mein zarrat ki tadad kitni hoti hai?

  1. 6.022 × 10²³
  2. 3.011 × 10²³
  3. 6.022 × 10²⁰
  4. 1.6 × 10⁻¹⁹
Jawab dekhein

A) 6.022 × 10²³

Q8. 25°C par khalis paani ka pH kitna hota hai?

  1. 0
  2. 5
  3. 7
  4. 14
Jawab dekhein

C) 7

Q9. Acid blue litmus ko kis rang mein badalta hai?

  1. Laal
  2. Hara
  3. Peela
  4. Koi tabdeeli nahi
Jawab dekhein

A) Laal

Q10. Zinc dilute HCl se react kare to kaun si gas nikalti hai?

  1. Oxygen
  2. Hydrogen
  3. Chlorine
  4. Carbon dioxide
Jawab dekhein

B) Hydrogen

Hissa 2: Mukhtasar sawal (3)

Sawal 1. Isotopes kya hote hain?

Namoona jawab dekhein

Ek hi element ke wo atoms jin ka atomic number barabar lekin mass number alag ho (neutrons ki tadad alag), jaise carbon-12 aur carbon-14.

Sawal 2. Ionic aur covalent bond mein farq likhein.

Namoona jawab dekhein

Ionic bond mein electrons ek atom se doosre ko muntaqil hote hain aur ions banti hain. Covalent bond mein atoms electrons share karte hain.

Sawal 3. 36 g paani mein kitne moles hain? (H = 1, O = 16)

Namoona jawab dekhein

Molar mass H₂O = 18 g/mol. Moles = 36 ÷ 18 = 2 mol.

Rehnuma se samjhein: 3 din free

Mazeed practice ke liye Chemistry ka page dekhein, ya board ke official past papers ke links dekhein.

Doosre practice papers